Tuesday 3 May 2016

Aduri Padhai

Jab waqt tha padhai ka kiya karte the masti pure saal bhar,
Pahuchte the samay per college me per hoti thi class bunk.
Kabhi baithte the canteen me to kabhi theatre ki seat per,
Sochte the padhai to karni he hai kar lenge baad me.

Hui ajab si hulchal likha semister ke paper ko,
Agal bagal dekh kar.
Aaya jab final ki bari tab eahsaas hua ke waqt gaya hai nikal.

Thoda sa dara hua thoda sa sahma hua,
Ghar ja kar notes dhoondne ko start kiya.
Achanak ek batti jali dimag ki eahsas hua ke class to gaya he nahi kabhi
To milagi notes kaha se abhi.

Phir maine socha is baar padhkar dikha denge sabko is baar,
Aakhir bado ka ashirwad bhi to hai na yaar.
Sab kehte the k maine nahi ki thi koi taiyari lekin chutti bhi to thi humko pyari.

Ab to kar li hai humne puri taiyari dekh lena ab mai padunga sab pe bhari,
Examiner bhi ho jayange pareshan list me hoga sabse upar hamara bhi naam.

No comments:

Post a Comment