Meri Adhuri Kahani
Adura sa mai meri adhuri kahani,
Adhure se jeevan me mere adhure pan ki nishani.
Meri adhuri kavita sunati hai kuch kisse purani,
Soch hun bete lamho ko ban jati hai kahani.
In adhuri aankho me rehte hain sapne adhure,
Khawishe thi bahot per chahate thi adhuri.
Chood chuke hain bachpan ko peeche,
Adhure se safar me ye adhuri jawani.
Adhuri si manzil ko uljhati ye adhuri dishaye,
Gehre gumo me uljha hua mera adhura kal.
Adhuri si roshni me bhatakta hua mera bhavishya,
Hun adhura aaj bhi mai dhoondta hun adhuri muskan suhani.
Uljhe hue rishto me adhuri si khushiyan,
Adhuri hai duniya adhure hain hum.
Ho gayi hai mohabbat bhi adhuri,
Bas zindagi se yehi shikayat hai purani.

No comments:
Post a Comment