Tuesday 17 July 2012



Adhuri Raato Me

Phir aayi unki yaad un adhuri raato me,
Ajeeb si hulchul hui ik saya sa lehraya,
Un Adhuri raato me.

Phir aas jagi aitbar tutne ka,
Wo mohabbat thi ya tanhai,
Un Adhuri raato me.

Thi mohabbat unko bhi, chahat jagi hamari bhi,
Phir aitbaar kyu tuta, Raas nahi aayi mulaquat,
Un Adhuri raato me.

Aaya khayal mann me, na jagao khwab unhe pane ka,
K aitbaar e mohabbat tuti wahi, bhula diya khud ko zamane se,
Un Adhuri raato me.

 Adhuri Baato Ki Tarah 

Bheej jati hai palke un dhoondli si yaado me,
Kho bhaith ta hun khud ko is duniya ki bheed me.
Reh jati hai khawaishe meri adhuri,
Un Adhuri Baato ki tarah..

Kuch khwaab jo aaj bhi meri aankho me hain,
Wo gujare pal roke nahi rukte.
Chaai hai khamoshi mere labo per,
Un Adhuri Baato ki tarah..

Khawaishe to hain ud k gagan ko chune ki,
Pata hun khud ko un gumo ki gahraiyo me.
Tut jate hain sapne mere,
Un Adhuri Baato ki tarah..

Adhura Khwaab


Adhura Khawaab

Aaya ek lamha unki chahato me shamil hone ha,
Gawa baith wo mauka unke dil me utarne ka.

Na jane kyu humne unke pyar ko he naakar baithe,
The pyaar se anjaan hum jo unhe gawa baithe.

Rote hai dil he dil me,
Unhe khone ka dard rulane laga hai.

Jeene ko to khoob jiya hai humne,
Na jane kyu akelapan satane laga hai.


Dekha Humne




I Miss You



Pyar Ka Tohfa

Nahi diya kisi ne is dil ko pyar ka tohfa,
Zindagi hum bhi they kisi ne hume jiya he nahi.

Tha ek roop suraj aur chand se bhi haseen,
Ek aise jahan me jaha koi diya he nahi.

Shikayat kare bhi to kis se kare hum,
Hum se wafa ka wada kisi ne kya he nahi.

Hume to khabar he na tha Khushiye ke bare me,
Un per to kisi gum ka saaya he nahi.

Ek din ghar pe is jahaan ke farishte bhi aye the,
Hume unka aana bhi raas aaya he nahi.

Mausam ka mijaaz he kuch nirala tha,
Haatho me phool the per khile he nahi.

Maanga the humne mohabbat ko us kainaat se,
Tha hamare paas jo wo bhi loot gaya aur kuch mila he nahi.


Meri Tanhai

Na jane kyu tanhai ab bardast nahi hoti,
Chubti hai kaaton si tanhai
Aur saulagti hai aangaroon si.

Rote hain hum to na jane kyu,
Roti hai ye tanhai,
Koi aake hume hasa de ye kaisi aafat ban aayi.

Jab bhi usse apni yaado se nikalna chahta hun,
Na jane kaisi beej boo jati hai ye tanhai.

Raat ke kisi aandhere me kar jati hai bewafai,
Neend to hume nahi aati per so jati hai tanhai.

Ho kar tumse juda dil lage liya hum ne is se he,
Toot sa jata hun jab khone lagti hai ye Tanhai.