Saturday 8 September 2012


Adhuri Shaam


Ek adhuri shaam aur kuch pal adhure,

Sapne the bahot ho na sake pure.



Tha waqt bhi adhura aur jazbaat bhi thi adhuri,

Dhadkono ki adhuri awaaz ho na saki puri.



The saath wo bhi per lagte the adhure,

Aisi rut chali hue hum bhi adhure.




Zindagi ke is lambe safar me hum kyu the adhure,
Log milte gaye rishte hue na pure. 



Aankho me tasveer unki dikhti thi adhuri,
Dekhta hun yahan wahan badh gayi thi doori. 



Karni thi kuch baatein per saasein thi adhuri,
Waqt badhta gaya baat ho na saki puri.



Kuch khwaab abhi bhi the ahhure,
Wo baatein reh gayi adhuri.