Tuesday, 7 August 2012

Ek Khwaab Hai



Ek Khwaab Hai

Ek khwaab liye firta hun tere hotho ki hasi banane ka,
Khawaab hai tere aagosh me simat jane ka.

Chahe lakh bacha le tu,
Apna daman ishq k hatho,
Khawaab hai tujh per aasman bankar cha jane ka.

Yun to ishq ki aajmayish acchi nahi hoti,
Khawaab hai teri taqdeer ban kar cha jane ka.

Laut jayega maut bhi,
Tere dar pe aake,
Khawaab hai tujhko ek haseen zindagi de jane ka.

Agar jeena pada tere bagair,
Bhi to jee lenge,
Khwaab hai bus tujhper mar mit jane ka.





Baki Na Raha



Baki Na Raha

Kya kahe tumko hum ab,
Kehne ko to kuch baki bhi nahi raha.

Ek dil tha seene me wo bhi toot gaya,
Ab lutane ko baki kuch na raha,

Kabhi humne bhi unhe chcha tha,
Apne armano ko sajaya tha.

Wo jinko hum apne suro ka taal,
Banaya karte the.

Wo hamare yaado ko,
kaagaz pe sajaya karte the.

Reh gaye hum akale,
Wo hume akela chood gaye.

Na jane kin baato se,
Wo sare rishte tood ker mooh mod gaye.

Aur kya bataye tumhe hum,
Ab kehne ko baki kya rakha hai.






Aye Sanam


Aye Sanam

Tere bin thi zindagi adhuri aye mere sanam,
Sach kehta hun yaqeen karlo O mere humdam.

Simat sa gaya hun tumhari yaado me,
Tu jo mili hai to mila hai mujhe,
Saari khushi aye sanam.

Kabul kiya hai rab ne meri dua,
Pyar mila hai tera ab mujhe,
Ab na hai koi khawish badle me tere aye sanam.

Na hai koi chahat mujhko,
Tera daman he duniya hai meri,
Lagte hai tere zulm bhi,
Mujhko pyare se aye sanam.

Chaha hoga na tujhko itna,
Kabhi koi mere sanam,
Dil se puch ke dekh le O mere sanam.

Khatam hua hai intezar aaj mera,
Paake tujhko aye sanam,
Ab ja ke sukun mila hai mujho,
Puch le mere dil se aye sanam.

Chale Aao



Chale Aao

Dhoond raha hun samundar ke beach me kinara,
Na he koi sathi hai na he koi sahara.
Apni baahon me bhar lo humko,
De do hume sahara.

Nikal jate hain dard mere in aanko ke aansu banke,
Ek baar nazar karde humpe ho jau sirf tera.
Milagi wo ek din hume hai ye yaqen,
Raah dekhti hai aankhe ayagi wo ek din.

Tadapta hun mai yahan chain to unhe bhi nahi hoga,
Tu to rani khushboo ki tujhe to mera haal pata he hoga.

Leke baithe hain ek pyar ka tohfa tumhare liye,
Phoolo ki khushboo, khushiyo ki barat laye hain aapke liye.
Dar sa lagta hai hume kahi tu ho na jaye humse khafaa,
Phir sochta hun ayagi tu ek din agar hum nahi hai bewafaa.

Bhul gaye the aap hume mohabbat ke jahaan me,
Ab maja nahi aata hume zamane ke is chahat me.
Na to hum sajte hain na he sawarte hain,
Tumhari yaado me sirf khoye rehte hain.

Ab to waqt bhi ruk gaya hai aa bhi jao,
Ab na satao sirf ek baar bus ek baar chale aao,
Chale aao chale aao.                         

Zindagi



Zindagi

Bhari zindagi me koi mere paas baitha na tha,
Dekho aaj mere paas kaise sab baith rahe hain.

Taras gaya tha mai zindagi me ek phool ke liye
Aaj phool he phool diye ja rahe hain.

Ek kapde ke liye tarsa diya tha,
Bhare zindagi me logo me mujhko,
Dekho kaise aaj kapde he kapde,
Odhaye ja rahe hain.

Do kadam kisi ne saath to diya he nahi is zindagi me,
Aaj log mere peeche chale aa rahe hain.

Ab jake ke pata chala ke maut itni haseen hoti,
Na jane kyu hun yuhi jiye ja rahe the.