Tuesday 28 August 2012

Ye Ghajal Tere Naam Na Ho Jaye

Ye Ghajal Tere Naam Na Ho Jaye

Likhna chahti hai meri kalam aaj kuch,
Kahin ye ghajal tere naam na ho jaye.

Bayaan karna chahta hun bahot kuch,
Kahin likhte likhte shaam na ho jaye.

Sochta hun aksar tanhai me,
Kahin mere ye sapne adhure na reh jaye.

Raaho me baitha sochta hun bahot,
Karta hun intezaar tere izhare e mohabbat ka.

Aa bhi jao kahin ye intezaar adhuri na reh jaye,
Is intezaar me kahin zindagi aaj tamaam na ho jaye.

Nahi leta hun tera naam sar e aam is darr se,
Kahin tera naam badnaam na ho jaye.

Maangta hun her dua me tujhko.
Kahin is judaai me pyaar ka anjaam
Kuch aur na ho jaye.

Sochta hun bahot aksar tanhai me,
Kahin is dil me kisi ka maqaam na ho jaye.

Monday 13 August 2012

Adhuri Chahat

Adhuri Chahat

Ab to aankho me nami ka ek eahsaas rehta hai,
Dil me ek Dard hai jo har pal jawaan rehta hai.

Ek wo jo kaha karti thi ke bichadenge to kaise jiyenge,
Ab wo khud humse door rehti hai.

Ek usko ab shayad meri chchat ki jarurat nahi rahi,
Aur mai har pal uske lautne ki umeed me palken bichayen rehta hun.

Wo samajhti hai ke mai bhool gaya hun usko,
Aur hume to khus se jyada uske dhyaan rehta hai.

Aisi udasi sir pe chayi rehti hai,
Jaise dil pe koi zakhmon ja nishan rehta hai.

Thursday 9 August 2012

Mai Nahi Maakhan Chor

Mai Nahi Maakhan Chor

Kahat kanahiya sun mori maiyya mai naahi makhan khayo,
Mai naahi makhan khayo re maiya mai naahi khayo....
Tune mohe khelan ko pathayo gopiyan ne pakad baithayo,
Mai naahi makhan khayo re maiya mai naahi khayo.....

Sang baith more bansi bajwayo makhan kila khila ke thakwayo,
Mai naahi makhan khayo re maiya mai naahi khayo.....
Tu kahe ko samjhat mohe parayo unke bol kahe pataiyo
Mai naahi makhan khayo re maiya mai naahi khayo.....

Mai nanha bal bahiyan ko chhoto mai nahi makhna churayo,
Mai naahi makhan khayo re maiya mai naahi khayo.....
Mora bhed kahe naahi jaano tu kyu moke paraya maano,
Mai naahi makhan khayo re maiya mai naahi khayo.....

Aye meri pyari maiya tu kaahe naahi patiaayo gopiyan ne mohe
jhuthlayo,
Mai naahi makhan khayo re maiya mai naahi khayo.....
Hasat yashoda kahat kanhiya mai ab bhayo parayo re maiya,
Tu moke na jaan paayo re maiya tu moke na jaan paayo.....
Mai naahi makhan khayo re maiya mai naahi khayo.....

Nainan neer bahati yashoda gale se diyo lagaye,
Kanhaiyaa re more kanhaiya mai janat tu nahi makhan khayo,
Gopiyan ne tujhe phasayo tu naahi makhan khayo,
Lalla tai naahi maakhn khayo re laaa tai naahi makhan khayo.

Tuesday 7 August 2012

Ek Khwaab Hai

Ek Khwaab Hai

Ek khwaab liye firta hun tere hotho ki hasi banane ka,
Khawaab hai tere aagosh me simat jane ka.

Chahe lakh bacha le tu,
Apna daman ishq k hatho,
Khawaab hai tujh per aasman bankar cha jane ka.

Yun to ishq ki aajmayish acchi nahi hoti,
Khawaab hai teri taqdeer ban kar cha jane ka.

Laut jayega maut bhi,
Tere dar pe aake,
Khawaab hai tujhko ek haseen zindagi de jane ka.

Agar jeena pada tere bagair,
Bhi to jee lenge,
Khwaab hai bus tujhper mar mit jane ka.

Baki Na Raha

Baki Na Raha

Kya kahe tumko hum ab,
Kehne ko to kuch baki bhi nahi raha.

Ek dil tha seene me wo bhi toot gaya,
Ab lutane ko baki kuch na raha,

Kabhi humne bhi unhe chcha tha,
Apne armano ko sajaya tha.

Wo jinko hum apne suro ka taal,
Banaya karte the.

Wo hamare yaado ko,
kaagaz pe sajaya karte the.

Reh gaye hum akale,
Wo hume akela chood gaye.

Na jane kin baato se,
Wo sare rishte tood ker mooh mod gaye.

Aur kya bataye tumhe hum,
Ab kehne ko baki kya rakha hai.

Aye Sanam

Aye Sanam

Tere bin thi zindagi adhuri aye mere sanam,
Sach kehta hun yaqeen karlo O mere humdam.

Simat sa gaya hun tumhari yaado me,
Tu jo mili hai to mila hai mujhe,
Saari khushi aye sanam.

Kabul kiya hai rab ne meri dua,
Pyar mila hai tera ab mujhe,
Ab na hai koi khawish badle me tere aye sanam.

Na hai koi chahat mujhko,
Tera daman he duniya hai meri,
Lagte hai tere zulm bhi,
Mujhko pyare se aye sanam.

Chaha hoga na tujhko itna,
Kabhi koi mere sanam,
Dil se puch ke dekh le O mere sanam.

Khatam hua hai intezar aaj mera,
Paake tujhko aye sanam,
Ab ja ke sukun mila hai mujho,
Puch le mere dil se aye sanam.

Chale Aao

Chale Aao

Dhoond raha hun samundar ke beach me kinara,
Na he koi sathi hai na he koi sahara.
Apni baahon me bhar lo humko,
De do hume sahara.

Nikal jate hain dard mere in aanko ke aansu banke,
Ek baar nazar karde humpe ho jau sirf tera.
Milagi wo ek din hume hai ye yaqen,
Raah dekhti hai aankhe ayagi wo ek din.

Tadapta hun mai yahan chain to unhe bhi nahi hoga,
Tu to rani khushboo ki tujhe to mera haal pata he hoga.

Leke baithe hain ek pyar ka tohfa tumhare liye,
Phoolo ki khushboo, khushiyo ki barat laye hain aapke liye.
Dar sa lagta hai hume kahi tu ho na jaye humse khafaa,
Phir sochta hun ayagi tu ek din agar hum nahi hai bewafaa.

Bhul gaye the aap hume mohabbat ke jahaan me,
Ab maja nahi aata hume zamane ke is chahat me.
Na to hum sajte hain na he sawarte hain,
Tumhari yaado me sirf khoye rehte hain.

Ab to waqt bhi ruk gaya hai aa bhi jao,
Ab na satao sirf ek baar bus ek baar chale aao,
Chale aao chale aao.                         

Zindagi

Zindagi

Bhari zindagi me koi mere paas baitha na tha,
Dekho aaj mere paas kaise sab baith rahe hain.

Taras gaya tha mai zindagi me ek phool ke liye
Aaj phool he phool diye ja rahe hain.

Ek kapde ke liye tarsa diya tha,
Bhare zindagi me logo me mujhko,
Dekho kaise aaj kapde he kapde,
Odhaye ja rahe hain.

Do kadam kisi ne saath to diya he nahi is zindagi me,
Aaj log mere peeche chale aa rahe hain.

Ab jake ke pata chala ke maut itni haseen hoti,
Na jane kyu hun yuhi jiye ja rahe the.

Monday 6 August 2012

Adhuri Baatein: Ek Deewangi

Adhuri Baatein: Ek Deewangi

Ek Deewangi

Ek Deewangi

Har pal ek yaad satati hai na jane kyu,
Mere dil ke pass rehti hai,
Mohabbat ke tarah mere rag rag me behti hai.

Khoya rehta hun har pal jiski khayalo me,
Na jane wo kaun hai,
Jo haawa ban ke chu jati hai.

Har waqt mere aankho ke samne rehti hai ho,
Pata nahi kyu ab har cheej ab,
Tum jaisi nazar aati hai.

Shayad ye meri aankho ka dosh hai,
Ya teri chahat ja ka asar hai,
Ke neend abto aati he nahi aur,
Raat jane kaise gujar jati hai.

Jo nahi chaiye wo sab kuch hai mere paas,
Ek tu nahi hai bus tere intezar ki,
Ghadiya sata rahi hai.