Monday 3 September 2012

The Kuch Pal Aise Bhi


The Kuch Pal Aise Bhi

Unki mohabbat me kho jane ka khayaal tha,
Unka he hokar reh jana ye khwaab tha hume.

Khojti rehti thi titliyan aksar hum ko,
Apne aap se juda hone ka khumaar tha hume.

Unki palkon ki chaaw me sone ki aadat thi abto,
Unke ishq ne kar diya tha behaal hume. 

Zarooraton me kho jane ki aadat thi hum ko,
Unhone ne khud ko pane ki mohallat nahi di hume.

Waqt ke kuch is kadar bikher diya,
Beete lamho ko sawarne ka mauka bhi nahi diya hume.

Adhure Jazbaat

Adhure Jazbaat

Aaj ajeeb sa dil me eahsaas hai,
Lagta hai aaj hone wala kuch khaas hai.

Na khelo is dil se aye zaalim,
Aaj bas me nahi hamare jazbaat hai.

Kabhi lagti door to kabhi aati paas hai,
Aaj mausam me na jane kya baat hai.

Uthi hai umang ajeeb si dil me,
Jaise har waqt koi is dil ke paas hai.

Na khelo is dil se aye zaalim,
Aaj bas me nahi hamare jazbaat hai.

Kahani likh raha hun apni ya isme bhi koi baat hai,
Nahi samajh pata hai ye dil na jane kya raaz hai.

Koi bata de hume zara mohabbat ki kya jaat hai,
Kho se gaye hain ab to uljhan ye din raat hai.

Na khelo is dil se aye zaalim,
Aaj bas me nahi hamare jazbaat hai.