Tuesday 3 May 2016

Adhuri Daastan

Chooti si zindagi bade hain armaan,
Lo sunate hai aapko apni adhuri daastan.
Farz aur rishto ko nibhate hue,
Kho gaye saare sapne na jane kahan.

Milange wo hume aisa humne socha bhi na tha,
Hum hain yahan aur na jane wo kahan.
Band hain saare armaan is dil me,
Un armaano ko alfaaz dedu ab himmat kahan.

Chayi hai andheri raat ab kuch baaki bhi nahi,
karne ko kuch baatein ab tanhai milti hai kahan.
Kaat rahe hain zindagi ko ek saaza ke tarah,
Kya khoye hum ab to kuch bacha he nahi.

Leke gum kabke khushi baatata phirta hun,
Khud ke liye ab jeleu aisi waqt kahan.
Haqiqat to ban gaye hain ab patthar se,
keh to diye hain sab kuch ab kehne ko baaki kahan.

No comments:

Post a Comment