Tuesday 31 July 2012

Adhuri Zindagi


Adhuri Zindagi

Meri adhuri zindagi ko tumne pura kar diya,
Is kadar chaha tumne mujhe mera daman bhar diya.

Toot sa gaya tha mai jab umeed tooti thi meri,
Aake zindagi me tumne un tukdon ko ek kar dikhaya.

Karta hun mehsoon tumko har saaso me tumko,
Tum saath nahi ho to kya hua hota hai zubaan pe sirf naam tumhara.

Jab yaad aate hain wo judaai ke pal,
uske eahsaas aaj bhi rula dete hain mujhko

Nahi hona chahta hun juda mai tumse,
Mere naseeb ne har baar dhoka diya hai mujhko.

Koi Bewafaa



Koi Bewafaa

Thi koi bewafaa jise humne is dil me jagah di thi,
ek choti si duniya uske sang basa rakkhi thi.

Chahate the usko khud se bhi badh kar,
Uski chahat ne hamari duniya he mita di thi,

Eahsas nahi tha hume wo bewafaa niklagi,
Us gair pe bharosha kar ke hum ne khud ok saza di thi.

Sapne dekhe the sath milkar zindagi bityange,
Ek pal me usne har baat bhula di thi.

Sitam aisa dhayi hai hum per hum se juda ho ke,
Apni zindagi ko uska saya sa bana di thi

Na jane kiya tha humne bharosha kyu us per hadh se badhkar,
Uski har aahat ne dil me halchal si macha di thi.

Meri Tanhai


Meri Tanhai

Wo agar hoti to aisa karta,
Agar wo hoti to waisa karta.
Hum ye le aate hum wo le aate,
Aksar ye sochte hain hum tanhai me.

Ye kaha aa gaye na jane,
Hum kaha kho gaye,
Ulajh sa jata hun unki yaadon me.
Na koi kasti hai na koi kinara hai,
Aksar ye sochte hain hum tanhai me.

Sochta rehta hun uski yaado me kho kar,
Jabki hume bhi ye khabar hai ke,
Wo to hai he nahi aur ayagi bhi nahi,
Magar khud ko samjahu kaise,
Dil kehta hai wo yahi hai yahi hai...
Aksar ye sochte hain hum tanhai me.