Friday, 27 July 2012

Ek Khawaab Tujhe Pane Ka

Badh si gayi hai dil ki dhadkan aaj meri,
Aankhon me jaise neend hai aaj meri.

Jaag raha hun teri yaad me ab tak,
Ek halchal si jagi mann me aaj mere.

Chahta hun mai bhi khushiyon soona,
Tere pyare sapno me mujhe bhi hai khona.

Dua meri rabb se yahi hai ke,
Mil jaye tere dil me ek choota sa koona.

Beet chuki hai raat ho gaya hai sabera abto,
Na jane kyu bijili ab bhi mann me tadak rahi hai

Na to bhook hai mujhe na ab pyaas hai,
Lagta hai tere prati praay ka eahssas hai.

Jyada kuch to gujarish nahi hai,
Sirf tere sang zindagi bitane ki aas hai.

Har Lamha Yaad Aata Hai Ab To....

Karta hun yaad tere sang bitaya hua har lamha ab to,
Chale aao k tumhari yaad bahot rulati hai hum ko .

Tere galiyon ke log bahot satane lage hain ab to,
Pata nahi hai tumhare aashiyane ka hum ko.

Chahe chupana chaho lakh humse jaante hain phir bhi hum ab to,
Har waqt tumhari aankhen dekhti hai hum ko.

Jhankta hun khud me to khayal aata hai ab to,
Tere bin zindagi behaal lagti hai hum ko.

Hun mai kamjoor musafir andheron ki nagri ka ab to,
Ujala raas nahi aata hai hum ko.

Kar lu tera deed ye pyaas jaagi hai ab to,
Tujh sang betayi hue pal chain deti hai hum ko.

Tamasha dekhne wale hamare pyar ka kam nahi hai ab to,
Diye hain ruswayiyon ko saugaat tere apno ne hum ko.