Saturday 14 July 2012


Baat Adhuri

Tum bin reh gaya mai adhura,
Jaise reh gayi koi baat adhuri.

Doob jao meri lafzon ki gahrai me,
Samjho na meri baat Adhuri.

Tham si gayi hain saase hamari,
Nam si ho gay hai palken hamari.

Kyu hoti hai ye barsat Adhuri,
Jaise reh gayi hai koi baat Adhuri.

Chura lo humko humi se "Ravi"
Jaise reh gayi koi baat Adhuri.


Adhuri Baatein Karke


Apni Baatein Likh Dena

Agar kabhi mauka mile aapko to,
Apne hatho pe mera naam likh dena.
Mat kehna kisi se kuch sirf chup rehna,
Dua me hamara naam likh dena.

Jis tarah zamane ne kar diya badnaam mujhko,
Agar rahu zinda to jeene ki saja likh dena.
Roothe hain kayi dost muhse unhe manahu kaise,
Kasur war hun unka ye khata bhi lekh dena.

Jeene ko to je rahe hain tumse juda ho ke bhi,
Apni in makhmali hotho se ye aada bhi likh dena.
Kehte the tum na jee sakoge mere bin,
Kaise jee raha hun bin aapke zara ye bhi likh dena.
Ek Khawaab

Ek khwaab liye firta hun tere hotho ki hasi banane ka,
Khawaab hai tere aagosh me simat jane ka.

Chahe lakh bacha le tu apna daman ishq k hatho,
Khawaab hai tujh per aasman bankar cha jane ka.

Yun to ishq ki aajmayish acchi nahi hoti,
Khawaab hai teri taqdeer ban kar cha jane ka.

Laut jayega maut bhi tere dar pe aake,
Khawaab hai tujhko ek haseen zindagi de jane ka.

Agar jeena pada tere bagair bhi to jee lenge,
Khwaab hai bus tujh per mar mit jane ka.