Tuesday 10 May 2016

Maa........originally by MUNAWAR RANA SAHAB

Labo par uske kabhi baddua nahi hoti
bas ek maan hai jo kabhi khafa nahi hoti

Is tarah mere gunaahon ko wo dho deti hai,
maa bahut gusse mein hoti hai to ro deti hai

Maine rote hue ponchhe the kisi din aansoo
muddaton maa ne nahi dhoya dupatta apna

Abhi zinda hai maa meri mujhe kuchh bhi nahi hoga,
main jab ghar se nikalta hoon dua bhi saath chalti hai

jab bhi kashti meri sailaab mein aa jaati hai
maa dua karti hui khwaab mein aa jaati hai

aye andhere dekh le munh tera kaala ho gaya,
maa ne aankhein khol di ghar mein ujaala ho gaya

meri khwaahish hai ki main phir se farishta ho jaun
maaN se is tarah liptun ki bachcha ho jaun

'munawwar' maa ke aage yun kabhi khulkar nahi rona
jahan buniyaad ho itni nami achhhi nahi hoti

lipat jaata hoon maa se aur mausi muskurati hai,
main udru mein ghazal kehta hoon hindi muskrati hai

Tuesday 3 May 2016

Aduri Padhai

Jab waqt tha padhai ka kiya karte the masti pure saal bhar,
Pahuchte the samay per college me per hoti thi class bunk.
Kabhi baithte the canteen me to kabhi theatre ki seat per,
Sochte the padhai to karni he hai kar lenge baad me.

Hui ajab si hulchal likha semister ke paper ko,
Agal bagal dekh kar.
Aaya jab final ki bari tab eahsaas hua ke waqt gaya hai nikal.

Thoda sa dara hua thoda sa sahma hua,
Ghar ja kar notes dhoondne ko start kiya.
Achanak ek batti jali dimag ki eahsas hua ke class to gaya he nahi kabhi
To milagi notes kaha se abhi.

Phir maine socha is baar padhkar dikha denge sabko is baar,
Aakhir bado ka ashirwad bhi to hai na yaar.
Sab kehte the k maine nahi ki thi koi taiyari lekin chutti bhi to thi humko pyari.

Ab to kar li hai humne puri taiyari dekh lena ab mai padunga sab pe bhari,
Examiner bhi ho jayange pareshan list me hoga sabse upar hamara bhi naam.

Adhuri Zindagi

Meri adhuri zindagi ko tumne pura kar diya,
Is kadar chaha tumne mujhe mera daman bhar diya.

Toot sa gaya tha mai jab umeed tooti thi meri,
Aake zindagi me tumne un tukdon ko ek kar dikhaya.

Karta hun mehsoon tumko har saaso me tumko,
Tum saath nahi ho to kya hua hota hai zubaan pe sirf naam tumhara.

Jab yaad aate hain wo judaai ke pal,
uske eahsaas aaj bhi rula dete hain mujhko

Nahi hona chahta hun juda mai tumse,
Mere naseeb ne har baar dhoka diya hai mujhko.

Adhuri Kahani

Jab nazar padi unpe to dekhte he reh gaye,
Jaise meri Nighayen Adhuri
Dil apna na jane kab kho baite,
jaise koi sapna adhura.

Kise kehte hain pyar ye unse milker jana humne,
Jaise koi pehchan adhuri,
Isme kuch kard bhi hota hai kuch khatta kuch meetha,
Jaise koi Labz adhura.

Is Dard e dil ne wo dawa banai,
Jaise koi mareez adhura.
Aaya dil ko sukoon is rooh ki pyaas jagayi,
jaise koi aas adhuri.

Karu kaise izhaar e pyar unse,
jaise reh jaye koi baat adhuri.
Unki baaho se simat jaye aisa pyar kaha tha hume,
Jise koi raah adhuri.

Tha bachaineyo ka sath ab tak,
jaise meri pehchan adhuri.
Ye sabab bani pyar ke pehli galti ka ab tak,
Jaise meri jaat adhuri.

Adhuri Daastan

Chooti si zindagi bade hain armaan,
Lo sunate hai aapko apni adhuri daastan.
Farz aur rishto ko nibhate hue,
Kho gaye saare sapne na jane kahan.

Milange wo hume aisa humne socha bhi na tha,
Hum hain yahan aur na jane wo kahan.
Band hain saare armaan is dil me,
Un armaano ko alfaaz dedu ab himmat kahan.

Chayi hai andheri raat ab kuch baaki bhi nahi,
karne ko kuch baatein ab tanhai milti hai kahan.
Kaat rahe hain zindagi ko ek saaza ke tarah,
Kya khoye hum ab to kuch bacha he nahi.

Leke gum kabke khushi baatata phirta hun,
Khud ke liye ab jeleu aisi waqt kahan.
Haqiqat to ban gaye hain ab patthar se,
keh to diye hain sab kuch ab kehne ko baaki kahan.

Adhuri Baatein Kehte Kehte

Likhta hun apni zindagi ko, khuli kitaabo me,
Tham se jate hain hath mere, panne bhkher jate hain.
Reh jati hai zindagi meri adhuri, kore kaagaz ki tarah,
Kuch anjaan se chehre, ban k ubharte hain,
ek nayi tasveer ki tarah, samate hain meri aankho me,
Aaj apni adhuri baato ko, zindagi me bayan karni hai,
Najane kuch anjane shabdo ne, hume kyu rok rakh hai.
Aage aur kuch likha nahi jata, thak si jati hai kalam meri,
Adhuri baatein kehte kehte.
Pata hun khud ko, Adhuri raho ki Adhuri manzil pe,
Adhuri baatein kehte kehte.

Adhuri Baatein Karke

Utar gaye ho hamare dil me,
Adhuri baatein karke.

Tumahri chahat ka ye asar hai,
Jo zaare zaare me sama gaye ho.

Tum he to ho jo hamare,
Dil ki haado ko chukar gaye ho.

Tham lo mera haath,
Na karo duniya ki parwah.

Yu nazare jhuka k chale gaye ho,
hume deewana kar gaye ho.

Bhool gaye ho wo beeti yaadein sari,
Abhi se yu mukar gaye ho.

Dhoondti hai ye nazare hamari,
Ab aa bhi jao kahan chale gaye ho...