Monday 16 July 2012

Adhuri Baatein: Meri Tanhai

Adhuri Baatein:
Meri Tanhai
: Meri Tanhai
Tanhai




Na Karo Inkaar
Na karo hume yu bekraar, hamara pyar keh raha hai,
Karte hain hum tumse pyar, na karo inkaar.
Jaan lo tum ke pyar ka dusra naam zindagi hai,
Hamari is baat se ab inkaar na karo.

Jo pal paya hai khushiyo ka tumse,
Phir na laut k ayange,
Murjhaye hue phool phir na khil payange.

Zindagi kaat lenge tumhari yaado k sahare,
Dil pe lage zakhm,
Kabhi na bhar payange.

Dhundta hun aaj bhi pyar tumhare chehre me,
Rehti hai tumhari yaad in pelkon ke pehre me.
Nahi bacha zindagi me in aasuon k siwa ab kuch aur,
Bus chahat yehi hai k dum nikle bhi to bas aapke baaho k gheere me.


Dard Aur Tanhai

In aankho me na jane kyu maut simat aayi hai,
Jaise zindagi koi dard aur tanhai hai.

Karte hain sab chahat ki ibaadat,
Is ibaadat me na jane kyu ruswayi hai.

Logo k bheed me reh kar bhi hote hain hum tanha,
Ye aadat bhi to zindagi ne lagayi hai.

Kisi ki yaado me khud ko na barbaad karna,
Toot ti saaso ne hume samjhayi hai.

Unse rishta he kuch aisa raha k jab socha unke bare me to,
Hamari aankh bhar aayi hai.



Chale Aao

Dhoond raha hun samundar ke beach me kinara,
Na he koi sathi hai na he koi sahara.
Apni baahon me bhar lo humko,
De do hume sahara.

Nikal jate hain dard mere in aanko ke aansu banke,
Ek baar nazar karde humpe ho jau sirf tera.
Milagi wo ek din hume hai ye yaqen,
Raah dekhti hai aankhe ayagi wo ek din.

Tadapta hun mai yahan chain to unhe bhi nahi hoga,
Tu to rani khushboo ki tujhe to mera haal pata he hoga.

Leke baithe hain ek pyar ka tohfa tumhare liye,
Phoolo ki khushboo, khushiyo ki barat laye hain aapke liye.
Dar sa lagta hai hume kahi tu ho na jaye humse khafaa,
Phir sochta hun ayagi tu ek din agar hum nahi hai bewafaa.

Bhul gaye the aap hume mohabbat ke jahaan me,
Ab maja nahi aata hume zamane ke is chahat me.
Na to hum sajte hain na he sawarte hain,
Tumhari yaado me sirf khoye rehte hain.

Ab to waqt bhi ruk gaya hai aa bhi jao,
Ab na satao sirf ek baar bus ek baar chale aao,
Chale aao chale aao.


Arzoo Meri

Ho tere sath ye zindagi meri,
Hai ye arzoo din raat meri.

Chalu tere sang sang me mai,
Har safar me tu mere sath ho.

Kaanto pe bhi chal padu mai,
Tere pyar ki jab barsat ho.

Jab hun mile kisi sham dhale,
Na din ho na raat ho.

Ho tere sath ye zindagi meri,
Hai ye arzoo din raat meri.

•?((¯°·._.• ąďhµяɨ βąąţ€ɨɲ •._.·°¯))؟•




•?((¯°·._.• ąďhµяɨ βąąţ€ɨɲ •._.·°¯))؟•


Aise mile wo humko jaise koi kahani bankar,
Banaya dil me ghar jaise koi nishani bankar.


Dete hain jagah hum unhe apni aankho k andar,
Beh jate hain wo aksar pani bankar.

•?((¯°·._.• ąďhµяɨ βąąţ€ɨɲ •._.·°¯))؟•





Karte hain log mohabbat bade shor ke sath,
Logo ki choodo kiya to humne bhi,
Bade zor k sath.


Lagi hai thokar ab karange thode gaur se sath,
Kyuki beete palo me humne dekha,
Unhe kisi aur k sath.


•?((¯°·._.• ąďhµяɨ βąąţ€ɨɲ •._.·°¯))؟•


Tha koi khawaab ya koi pahaeli thi,
Tha wo haqiqat us mohabbat me mai akali thi.
Ishq me kahaan wo sache the,
Saari uljhane to humne jhali thi.
Bhool se gaye hain hum,
Wo dariya thi ya koi havali thi.
Jisne uljha k rakh diya humko,
Wo mohabbat hai ya paheli thi.




•?((¯°·._.• ąďhµяɨ βąąţ€ɨɲ •._.·°¯))؟•












Paheli

Tha koi khawaab ya koi pahaeli thi,
Tha wo haqiqat us mohabbat me mai akali thi.
Ishq me kahaan wo sache the,
Saari uljhane to humne jhali thi.
Bhool se gaye hain hum,
Wo dariya thi ya koi havali thi.
Jisne uljha k rakh diya humko,
Wo mohabbat hai ya paheli thi.




Karte hain log mohabbat bade shor ke sath,
Logo ki choodo kiya to humne bhi,
Bade zor k sath.


Lagi hai thokar ab karange thode gaur se sath,
Kyuki beete palo me humne dekha,
Unhe kisi aur k sath.

Meri Tanhai



Adhuri Kahani

Jab nazar padi unpe to dekhte he reh gaye,
Jaise meri Nighayen Adhuri
Dil apna na jane kab kho baite,
jaise koi sapna adhura.

Kise kehte hain pyar ye unse milker jana humne,
Jaise koi pehchan adhuri,
Isme kuch kard bhi hota hai kuch khatta kuch meetha,
Jaise koi Labz adhura.

Is Dard e dil ne wo dawa banai,
Jaise koi mareez adhura.
Aaya dil ko sukoon is rooh ki pyaas jagayi,
jaise koi aas adhuri.

Karu kaise izhaar e pyar unse,
jaise reh jaye koi baat adhuri.
Unki baaho se simat jaye aisa pyar kaha tha hume,
Jise koi raah adhuri.

Tha bachaineyo ka sath ab tak,
jaise meri pehchan adhuri.
Ye sabab bani pyar ke pehli galti ka ab tak,
Jaise meri jaat adhuri.












Aakhir Kya Likhen

Unke yaado me har lamho ko hum ne likha,
Aankho ki behti nami ko kagaz pe likha.
Ab to likhne ko labz bhi nahi milte,
Likhe to aakhir kya likhen.

Nahi bhool pate hain unki chahat ko,
Jisme hamari rooh samayi ho.
Abhi tak bhatak rahe hain
Unki talash me,
Jaise dilo me basi,
Yaadein hamari ho.

Tha chupke se aana uska ,
Nahi bhool pate hain wo,
Baho me simat jana uska.

Satati hai
Yaadein uski,
Tham si jati hai,
saase hamari.

Har raat bit ti thi,
Baaho me dildar ke,
Har pal hote the,
Kisse wo pyar ke.

Phir mann karta hai un beeti
yaado me kho jane ko.
Aaj mann karta hai,
Har lamha daurane ko.

Ab to likhne ko labj bhi nahi milte,
Likhe to aakhir kya likhen.

Un Adhuri raato me

Phir aayi unki yaad un adhuri raato me,
Ajeeb si hulchul hui ik saya sa lehraya,
Un Adhuri raato me.

Phir aas jagi aitbar tutne ka,
Wo mohabbat thi ya tanhai,
Un Adhuri raato me.

Thi mohabbat unko bhi, chahat jagi hamari bhi,
Phir aitbaar kyu tuta, Raas nahi aayi mulaquat,
Un Adhuri raato me.

Aaya khayal mann me, na jagao khwab unhe pane ka,
K aitbaar e mohabbat tuti wahi, bhula diya khud ko zamane se,
Un Adhuri raato me.


Adhuri Baatein Karke



Khawaab

Hote the khwaab mere bhi palko pe,
Aaj moti bankar beh gaye.

Chahat thi unke zindagi ko sawarne ki,
Wo hume thukra kar chale gaye.

Manjil meri adhuri si dhundi aankho ki tarah,
Ladkhadye kadam phir se chal pade.

Aas thi unko paane ki manjil bhi na mili aur,
Tanhaiyo me bhatakte he reh gaye.

Na jeetne ki himmat na haarne ki taaqat,
Phir bhi ladte rahe kismat se.

Na samaj paye hum is wafa k anjaam ko,
Ye kya hua hume kyu hum khud ko koos te reh gaye.

Ek Adhuri Kahani

Chahta hun pura karna ek adhuri kahani,
Meri kalam mera sath deti nahi.

Kehna chahta hun kuch apni zubani,
Wo baatein yaad aati nahi.

Aankhen bithaye baitha hun,
Na jane wo nazar kyu nahi aati.

Sote hain karwate badal badal ke,
Ye raat kyu kat ti nahi.

Ek ajeeb sa eahsaas,
Dil ko gudduda k jata hai.

Jaise koi sard hawa me,
Paseena baha k jata hai.

Aur kitna jeena hai,
Na jane kitni baki hai.

Agar pyar se jiyo is zindagi ko,
Maut bhi paas aati nahi.