Tuesday 28 August 2012

Ye Ghajal Tere Naam Na Ho Jaye


Ye Ghajal Tere Naam Na Ho Jaye


Likhna chahti hai meri kalam aaj kuch,
Kahin ye ghajal tere naam na ho jaye.



Bayaan karna chahta hun bahot kuch,
Kahin likhte likhte shaam na ho jaye.

Sochta hun aksar tanhai me,
Kahin mere ye sapne adhure na reh jaye.

Raaho me baitha sochta hun bahot,
Karta hun intezaar tere izhare e mohabbat ka.

Aa bhi jao kahin ye intezaar adhuri na reh jaye,
Is intezaar me kahin zindagi aaj tamaam na ho jaye.

Nahi leta hun tera naam sar e aam is darr se,
Kahin tera naam badnaam na ho jaye.

Maangta hun her dua me tujhko.
Kahin is judaai me pyaar ka anjaam
Kuch aur na ho jaye.

Sochta hun bahot aksar tanhai me,
Kahin is dil me kisi ka maqaam na ho jaye.