Friday 29 March 2013

Adhura Mausam

Is thode se jeevan me ye adhura sa mausam,
In rangon ki chahat aur gulabon ki hasrat.
Wo roshan saware ye madham andhere,
Jo milo kabhi tanha akale to batayen.

In khayaalon ki raahe aur ye chamakti nighayen,
Adayen dikhana hai ek silsila.
Wafayen nibhane me bahot hai faasla,
Agar isse jaan jao to ek eahsaan karna.

In baato ko sirf raaz he rakhna,
Agar ho irada to karo ek waada.
Ho kabhi mulakaat to yahi baat karna.
Jo milo kabhi tanha to batayen,
Tumhari mohabbat hamari wafayen.

Mohabbat Ki Mahek

Gulaboon si mehakti khushboo ho gayi hun,
Mohabbat ki ek nanhi kali ho gayi hun.

Usne mujhe aisi nighoon se dekha,
Ab to ek pal me mai badi ho gayi hun.

Kiya hai waada sar e Aaam aane ka usne,
Ajj to sawar ke mai us raah per khadi ho gayi hun.

Nahi chuda paoge mujhse apna haath ab,
Mohabbat ki ek hath kadi ban gayi hun.

Na jane kaha kho gaya hai meri khushiyon ka mausam,
Anjane ghamon ki jhadi ban gayi hun.

Ab koi juda na kar payega mujhko tumse,
Ek aisi phoolo ki khushboo ban gayi hun.