Tuesday 7 August 2012

Chale Aao



Chale Aao

Dhoond raha hun samundar ke beach me kinara,
Na he koi sathi hai na he koi sahara.
Apni baahon me bhar lo humko,
De do hume sahara.

Nikal jate hain dard mere in aanko ke aansu banke,
Ek baar nazar karde humpe ho jau sirf tera.
Milagi wo ek din hume hai ye yaqen,
Raah dekhti hai aankhe ayagi wo ek din.

Tadapta hun mai yahan chain to unhe bhi nahi hoga,
Tu to rani khushboo ki tujhe to mera haal pata he hoga.

Leke baithe hain ek pyar ka tohfa tumhare liye,
Phoolo ki khushboo, khushiyo ki barat laye hain aapke liye.
Dar sa lagta hai hume kahi tu ho na jaye humse khafaa,
Phir sochta hun ayagi tu ek din agar hum nahi hai bewafaa.

Bhul gaye the aap hume mohabbat ke jahaan me,
Ab maja nahi aata hume zamane ke is chahat me.
Na to hum sajte hain na he sawarte hain,
Tumhari yaado me sirf khoye rehte hain.

Ab to waqt bhi ruk gaya hai aa bhi jao,
Ab na satao sirf ek baar bus ek baar chale aao,
Chale aao chale aao.                         

No comments:

Post a Comment