Khawaab
Hote the khwaab mere bhi palko pe,
Aaj moti bankar beh gaye.
Chahat thi unke zindagi ko sawarne ki,
Wo hume thukra kar chale gaye.
Manjil meri adhuri si dhundi aankho ki tarah,
Ladkhadye kadam phir se chal pade.
Aas thi unko paane ki manjil bhi na mili aur,
Tanhaiyo me bhatakte he reh gaye.
Na jeetne ki himmat na haarne ki taaqat,
Phir bhi ladte rahe kismat se.
Na samaj paye hum is wafa k anjaam ko,
Ye kya hua hume kyu hum khud ko koos te reh gaye.

No comments:
Post a Comment