Tuesday, 7 June 2016

कोशिश


कोशिश कर, हल निकलेगा
आज नही तो, कल निकलेगा।
अर्जुन के तीर सा निशाना साध,
जमीन से भी जल निकलेगा ।
मेहनत कर, पौधो को पानी दे,
बंजर जमीन से भी फल निकलेगा ।
ताकत जुटा, हिम्मत को आग दे,
फौलाद का भी बल निकलेगा ।
जिन्दा रख, दिल में उम्मीदों को,
समन्दर से भी गंगाजल निकलेगा ।
कोशिशें जारी रख कुछ कर गुजरने की,
जो है आज थमा-थमा सा, वो चल निकलेगा ......

Tuesday, 10 May 2016

Maa........originally by MUNAWAR RANA SAHAB

Labo par uske kabhi baddua nahi hoti
bas ek maan hai jo kabhi khafa nahi hoti

Is tarah mere gunaahon ko wo dho deti hai,
maa bahut gusse mein hoti hai to ro deti hai

Maine rote hue ponchhe the kisi din aansoo
muddaton maa ne nahi dhoya dupatta apna

Abhi zinda hai maa meri mujhe kuchh bhi nahi hoga,
main jab ghar se nikalta hoon dua bhi saath chalti hai

jab bhi kashti meri sailaab mein aa jaati hai
maa dua karti hui khwaab mein aa jaati hai

aye andhere dekh le munh tera kaala ho gaya,
maa ne aankhein khol di ghar mein ujaala ho gaya

meri khwaahish hai ki main phir se farishta ho jaun
maaN se is tarah liptun ki bachcha ho jaun

'munawwar' maa ke aage yun kabhi khulkar nahi rona
jahan buniyaad ho itni nami achhhi nahi hoti

lipat jaata hoon maa se aur mausi muskurati hai,
main udru mein ghazal kehta hoon hindi muskrati hai

Tuesday, 3 May 2016

Aduri Padhai

Jab waqt tha padhai ka kiya karte the masti pure saal bhar,
Pahuchte the samay per college me per hoti thi class bunk.
Kabhi baithte the canteen me to kabhi theatre ki seat per,
Sochte the padhai to karni he hai kar lenge baad me.

Hui ajab si hulchal likha semister ke paper ko,
Agal bagal dekh kar.
Aaya jab final ki bari tab eahsaas hua ke waqt gaya hai nikal.

Thoda sa dara hua thoda sa sahma hua,
Ghar ja kar notes dhoondne ko start kiya.
Achanak ek batti jali dimag ki eahsas hua ke class to gaya he nahi kabhi
To milagi notes kaha se abhi.

Phir maine socha is baar padhkar dikha denge sabko is baar,
Aakhir bado ka ashirwad bhi to hai na yaar.
Sab kehte the k maine nahi ki thi koi taiyari lekin chutti bhi to thi humko pyari.

Ab to kar li hai humne puri taiyari dekh lena ab mai padunga sab pe bhari,
Examiner bhi ho jayange pareshan list me hoga sabse upar hamara bhi naam.

Adhuri Zindagi

Meri adhuri zindagi ko tumne pura kar diya,
Is kadar chaha tumne mujhe mera daman bhar diya.

Toot sa gaya tha mai jab umeed tooti thi meri,
Aake zindagi me tumne un tukdon ko ek kar dikhaya.

Karta hun mehsoon tumko har saaso me tumko,
Tum saath nahi ho to kya hua hota hai zubaan pe sirf naam tumhara.

Jab yaad aate hain wo judaai ke pal,
uske eahsaas aaj bhi rula dete hain mujhko

Nahi hona chahta hun juda mai tumse,
Mere naseeb ne har baar dhoka diya hai mujhko.

Adhuri Kahani

Jab nazar padi unpe to dekhte he reh gaye,
Jaise meri Nighayen Adhuri
Dil apna na jane kab kho baite,
jaise koi sapna adhura.

Kise kehte hain pyar ye unse milker jana humne,
Jaise koi pehchan adhuri,
Isme kuch kard bhi hota hai kuch khatta kuch meetha,
Jaise koi Labz adhura.

Is Dard e dil ne wo dawa banai,
Jaise koi mareez adhura.
Aaya dil ko sukoon is rooh ki pyaas jagayi,
jaise koi aas adhuri.

Karu kaise izhaar e pyar unse,
jaise reh jaye koi baat adhuri.
Unki baaho se simat jaye aisa pyar kaha tha hume,
Jise koi raah adhuri.

Tha bachaineyo ka sath ab tak,
jaise meri pehchan adhuri.
Ye sabab bani pyar ke pehli galti ka ab tak,
Jaise meri jaat adhuri.