Friday, 5 April 2013



Adhuri Khushiyan

Mai Shayar nahi hun ke shayari likhu.
Na hun mai deewana ke deewangi likhu.

Pata nahi hume ke kahan se aata hai dard,
Nahi pata hume doosro ke dilo ke marj.

Wo shayar he kya jo khusi na de sake,
Wo shayari he kya jisme khusi na mil sake.

Gamo ke baadal to har ghadi milenge,
Kabhi khushiyon ke baarish me bheeg ke to dekho.

Khud ke chahre ki muskaan na sahi,
Dusro ki khushiyo me shamil ho ke to dekho.

Agar na mile khusi zindagi me to na sahi,
Khil khila ke hasna sik ke to dekho.

Mai Shayar nahi hun ke shayari likhu.
Na hun mai deewana ke deewangi likhu.


Mohabbat Ki Mahek

Gulaboon si mehakti khushboo ho gayi hun,
Mohabbat ki ek nanhi kali ho gayi hun.

Usne mujhe aisi nighoon se dekha,
Ab to ek pal me mai badi ho gayi hun.

Kiya hai waada sar e Aaam aane ka usne,
Ajj to sawar ke mai us raah per khadi ho gayi hun.

Nahi chuda paoge mujhse apna haath ab,
Mohabbat ki ek hath kadi ban gayi hun.

Na jane kaha kho gaya hai meri khushiyon ka mausam,
Anjane ghamon ki jhadi ban gayi hun.

Ab koi juda na kar payega mujhko tumse,
Ek aisi phoolo ki khushboo ban gayi hun.



Apni baat batau kaise 

Hun Anjaan mai apni pehchan se,
Apni baat batau kaise,

Ek chooti se duniya hai meri,
Is duniya me aapko le jau kaise.

Chute hain mere khwaab asmaan ki unchaiyo ko,
In unchaiyo ki hadd aapko dikau kaise.

Muskurata hun apne gum chaupakar,
in gumo ko apni hasi banau kaise.

Hun Anjaan mai apni pehchan se,
Apni baat batau kaise.....


Aankh ke lahu ko tu yu na jaya kar,
aye dil kabhi to unko ajmaya kar.
Dekhna ek din wo phir laut ayega,
aise na tu khud ko rulaya kar.
pyar me aitbaar karna bhi to karna padta hai,
dil ki baat ko jubaan per to laya kar.
gum e mohabbat me wo bhi pighal jayega,
apne aasuo ko tu yu na bahaya kar.
agar tera hai to tujhe he mil jayega,
Aitbaar e mohabbat ko har pal jagaya kar.