Friday, 2 August 2013

Aisa na milo mujhse koi khafaa ho jaise,
Sang chalo mere koi bahaar ho jaise.
Na jane kyu log humpe dekh has dete hain,
Tum hume bhool gaye ho jaise.
Ishq ko bewafai ki hadh tak na badhana,
Aise na milna ke tu khuda ho jaise.
Maut bhi aye to aa jaye garv se,
Mujhpe ek eahsaan kiya ho jaise.
Aise anjaan ban baithe ho,
Tumhe kuch pata nahi ho jaise.
Hichkiyan raato ko aati rahi,
Tumne phir yaad kiya ho jaise.
Zindagi to beet he rahi hai,
Kuch Adhuri Baatein hai jaise.

Friday, 5 April 2013



Adhuri Khushiyan

Mai Shayar nahi hun ke shayari likhu.
Na hun mai deewana ke deewangi likhu.

Pata nahi hume ke kahan se aata hai dard,
Nahi pata hume doosro ke dilo ke marj.

Wo shayar he kya jo khusi na de sake,
Wo shayari he kya jisme khusi na mil sake.

Gamo ke baadal to har ghadi milenge,
Kabhi khushiyon ke baarish me bheeg ke to dekho.

Khud ke chahre ki muskaan na sahi,
Dusro ki khushiyo me shamil ho ke to dekho.

Agar na mile khusi zindagi me to na sahi,
Khil khila ke hasna sik ke to dekho.

Mai Shayar nahi hun ke shayari likhu.
Na hun mai deewana ke deewangi likhu.


Mohabbat Ki Mahek

Gulaboon si mehakti khushboo ho gayi hun,
Mohabbat ki ek nanhi kali ho gayi hun.

Usne mujhe aisi nighoon se dekha,
Ab to ek pal me mai badi ho gayi hun.

Kiya hai waada sar e Aaam aane ka usne,
Ajj to sawar ke mai us raah per khadi ho gayi hun.

Nahi chuda paoge mujhse apna haath ab,
Mohabbat ki ek hath kadi ban gayi hun.

Na jane kaha kho gaya hai meri khushiyon ka mausam,
Anjane ghamon ki jhadi ban gayi hun.

Ab koi juda na kar payega mujhko tumse,
Ek aisi phoolo ki khushboo ban gayi hun.



Apni baat batau kaise 

Hun Anjaan mai apni pehchan se,
Apni baat batau kaise,

Ek chooti se duniya hai meri,
Is duniya me aapko le jau kaise.

Chute hain mere khwaab asmaan ki unchaiyo ko,
In unchaiyo ki hadd aapko dikau kaise.

Muskurata hun apne gum chaupakar,
in gumo ko apni hasi banau kaise.

Hun Anjaan mai apni pehchan se,
Apni baat batau kaise.....


Aankh ke lahu ko tu yu na jaya kar,
aye dil kabhi to unko ajmaya kar.
Dekhna ek din wo phir laut ayega,
aise na tu khud ko rulaya kar.
pyar me aitbaar karna bhi to karna padta hai,
dil ki baat ko jubaan per to laya kar.
gum e mohabbat me wo bhi pighal jayega,
apne aasuo ko tu yu na bahaya kar.
agar tera hai to tujhe he mil jayega,
Aitbaar e mohabbat ko har pal jagaya kar.

Friday, 29 March 2013

Adhura Mausam

Is thode se jeevan me ye adhura sa mausam,
In rangon ki chahat aur gulabon ki hasrat.
Wo roshan saware ye madham andhere,
Jo milo kabhi tanha akale to batayen.

In khayaalon ki raahe aur ye chamakti nighayen,
Adayen dikhana hai ek silsila.
Wafayen nibhane me bahot hai faasla,
Agar isse jaan jao to ek eahsaan karna.

In baato ko sirf raaz he rakhna,
Agar ho irada to karo ek waada.
Ho kabhi mulakaat to yahi baat karna.
Jo milo kabhi tanha to batayen,
Tumhari mohabbat hamari wafayen.

Mohabbat Ki Mahek

Gulaboon si mehakti khushboo ho gayi hun,
Mohabbat ki ek nanhi kali ho gayi hun.

Usne mujhe aisi nighoon se dekha,
Ab to ek pal me mai badi ho gayi hun.

Kiya hai waada sar e Aaam aane ka usne,
Ajj to sawar ke mai us raah per khadi ho gayi hun.

Nahi chuda paoge mujhse apna haath ab,
Mohabbat ki ek hath kadi ban gayi hun.

Na jane kaha kho gaya hai meri khushiyon ka mausam,
Anjane ghamon ki jhadi ban gayi hun.

Ab koi juda na kar payega mujhko tumse,
Ek aisi phoolo ki khushboo ban gayi hun.

Monday, 25 March 2013

Holi Hai


.


Holi Hai

Dekho aayi phir se holi yaado ki barat sajana hai,
Ek duje ke pyar ke khatir rango me rang jana hai.

Badi muskil se dil ne phir ye kehna mana hai,
Is holi pe phir se unhe rango me rang dena hai.

Kharid ke rang kiya intezar ab ho gayi puri taiyari,
Is baar bhi karange rango ki bauchar tum dekhna raah hamari.

Tanhaiyan hai puch rahi rang e mohabbat kaha  milega,
Kisi apne ne bataya ke abhi thoda intezar karna padega.

Kala, Peela, Neela, Gulabi ye to ek bahana hai,
Holi ka din ho ya koi aur hume to tumhare rang me rang jana hai.

Dekho aayi phir se holi yaado ki barat sajana hai,
Ek duje ke pyar ke khatir rango me rang jana hai.

Is holi pe phir se unhe rango me rang dena hai,
Is holi pe phir se unhe rango me rang dena hai.